Friday, July 19, 2019

Family business & love

Mere ghar se thora aage, Bombay ki aik family ka chota sa dhaba style restaurant hai.... ghar ke char afrad mil ker business chalate hain. Andaza hota hai, mushkil se compete ker rahe hain....

Magar jab bhi wahan gaya..na sirf khane ka sawad aa gaya bulke ghar jesi muhabbat bhi khane main ghul mil si gai... Amma jab tawe se garam garam roti utar ke deti hain to apna ghar sa yaad aa jata hai..

Always respect, appreciate and encourage family businesses.

2 comments:

bsc said...

Kia yad kara dia bhai
aik mertaba Toronto aik dost ko milnay gia wo hamen aik desi resturant lay gia awr bataya keh yahaN bajray ki roti awr makkhan awr saag taza taza milay ga Sikh awrat banati hay intizar kerna paRay ga
Bhala aisi cheese k liyay ham kiyon intizar na kertay
Panjab ka maza aagia awr woh bhi pind jaisa
Owner ki beevi bnati thee

mystic-soul said...

Uncle: I remember similar Afghan restaurant opened at Devon, but it closed down as people didn't want to wait. Owner's son was my friend and I had been inside to Kitchen. His mother used to cook everything fresh. But I guess wave of modernity has killed a lot of things.