Sunday, January 30, 2022
Thursday, January 27, 2022
Samad
اللہ الصمد
Wednesday, January 26, 2022
Sunday, January 23, 2022
Ma-baap ke dil
Zindagi main aksar aese jawab milte hain, insaan ko kuch der ke liye chup lag jaati hai
'Chat-group' pe dostoN ki gup-shup chal rahi thi - kisi ne poocha: "Sab se ziyada dukh kahan milte hain?"
Aik ne jawab diya: "Ma-baap ke dil main!'
Wednesday, January 19, 2022
Saturday, January 15, 2022
On perfect cleaning
Meri zindagi main kai shahkar insaan aaye hain.
Residency ke dino main hamara aik roommate tha - Athar. Ab to uska naam bhi sochta hun to hansi aati hai.
Hum sab ne apne kaam baanth rakhe the. Mere zimme ghar ki grocerry laana, Aleem ke zimme mail collect kerna, Asghar pe khana pakana (kiunke iska kaam mushkil tha to use roommate ki sharing main discount milta)..aur aese dusre kaam hum baant lete.
Athar taqreeban rozana apartment ki aadhi addhi safaii kerta - kabhi poori safaii aik saath nahi kerta - daanista kuch hissa choR deta.
Hum kehte: "Oh bhai! tera bhi roz waqt zaaya hota hai aur hume bhi koft hoti hai. Aik hi dafa main saari safaii ker le to 4/5 roz ka aaram rahe".
Us ka jawab hota: "Jahan insaan rehte hon, wahan har waqt kuch na kuch be-tarteeb rehna chahiye, werna sab kuch bohat 'fake' lagta hai. Jab tak ghar kuch kuch be-tarteeb rahe, aehsaas rehta hai ke yahan log rehte hain." !!!
Hum us ki mantiq pe sir jhatak dete aur sab kuch wesa hi chalne dete.
Tuesday, January 11, 2022
Zameen Raas Aana
My Grandmother (dadi) never wanted to leave India during the partition. She was a firm believer that: "Kuch zameenain insaan ko raas aati hain aur kuch nahi". And this may be true as our family never found solace in the new land of pure (another debate).
I met many (and many) intelligent souls in North America over the last 3 decades who were extremely hard-working, honest, and wise - but - never found success with migration to the west.
Ya shayed - hamari kaamyaabi ke mayaar hi kam-zarf hain
Friday, January 07, 2022
A cute poem
Read on Facebook.