Saturday, September 29, 2007

The Bridges of Madison County


Agar aap ne Robert James Waller ka mashoore zamana novel "The Bridges of Madison County" parha ho to aap ko maalum hoga ke ye 171 pages ka, aik chota sa, aasan angrezi main likha huwa novel hai. Magar ye baat samjhne main mujhe barson lag gaye ke is novel main aesi kiya baat hai ke jis ne bhi parha (it sold so far 12 million copies), ye novel hamesah ke liye us ke dil main bas gaya. Per author of novel "certain moments in which the ordinary can take on rather extraordinary qualities."

Baat ye hai ke hum sub aik mikanki (mechanical) zindagi to guzarte hain, jis main shadian kerte hain, bachhe paida kerte hain, karobar kerte hain wagera wagera - magar zindagi ke kisi mor pe 2 ya 3 din aese aate hain (ye poora novel bus 4 din ki kahani hai) , jin ki yaadain dil ki deewar per aese sabt ho jaati hain ke poori zindagi pe bhari ho jaati hain. Agar aap ko novel parhne ka time nahi hai to Clint Eastwood aur Meryl Streep ki is novel pe bani film zaroor dekhiye (preferably read novel).

Ye dil saala wa'qiye bara harami hai ke, kese aik 45 saal ki aurat, do bachhon ki ma aur wafa shuar biwi, aik anjaane shaks ke sahar main zindagi bhar ke liye giraftar ho jaati hai - aur kehti hai: "Tum mujhe le jana chaho ge to main apne aap ko rok nahi paaun gi magar ye saali (damn) meri zimandarian - mere 2 bachhe aur mera shohar" !

Aur yeh hakeektein bhi saalee bari harami hain... un teen chaar dinon mein bhi peecha nahin chortien...



See these 2 clips, it will give you idea: Song, Robert leaving

No comments: