Friday, September 14, 2007

Dukan aur Makan


Allah jannat naseeb kare, mere nana aik bari achhi baat kehte the: "Insaan ki dukan uthti hai to uth jaaye magar kubhi usey uska makan na bechna pare. Makan ki deewaron main insaan ki khushbu, khayalat, saansain, aarzuain aur batain rach bas jaati hain. Derina makan chorna pare to lagta hai jese apna koi hissa kut gaya ho. Ma baap ke baad makan ki chat allah ki dusri chaun, therao aur zameen se rishta hota hai. Jub tuk mumkin ho beta, apna makan na bechna".

Previous post on nana


No comments: