Kul kisi ne mere blog ki taa'rif ki to mujhe aik purani baat yaad aa gayi:
Aik no-paida 'journalist' ko us ke editor ne kamre main bulaya aur kaha, 'tumhare columns ke baare main jitne khat aaye hain sab main tumhari taa'reef hai'.
Journalist ne kaha: 'sir aap us aik shaks ko dhundhe jis ne khat nahi likha?'.
Editor bara satpataya aur bola: "aesa aik shaks kaun hai?"
Journalist ne kaha ke: "Main khud".
"Kiya matlab?"
"Matlab ye ke sir !, jub tuk log meri taa'rif ker rahe hain theek hai, lekin jis din main khud apne liye taarifi khatoot likhna shuru ker dun, woh din aapke liye lamhaye-fiqriya hoga"
Moral of the story: Dusre bhale insaan ki taa'rif kerte rahain magar behtar hai aadmi ko khud apni khamioN ka ilm rahe aur dusron ki tehseen se deewana na ho jaaye.
No comments:
Post a Comment