Monday, September 03, 2007

Palmistry - whispering of witch!


Mere shuru ke blogs ziyada tar 1 ya 2 lines ke hote the, jis ka maqsad sirf apne liye waqiat ya cheezon ko yaad rakhna tha.

2 saal pehle main ne likha tha: "I classify 'ilm' (knowledge) of palmistry as whispering of witch !" Ye alfaz mere nahi the, kisi aur ke the.

Har naujawan ki tarah mujhe bhi haat ki lakirain dikhane ka shoq tha. Main Pakistan ke aik mashoor palmist ke paas pauncha. Ye sach hai ke unki batai hui bohut si batain, aage chal ker sach saabit huin. Kuch arse baad mujhe ilm huwa ke us palmist ne apni "practice close" ker di hai. Mujhe bari hairat hui. Main ne un se rabta karne ki koshish ki. Shuru main to unhon ne wajah batane se gurez kiya magar phir allah jaane unke dil main kiya aai ke is sakht waade pe ke, main unka naam kisi ko nahi batunga, unhon ne wajah batai: "Jis din se main ne apni aik nawasi aur aik pote ke haat main khudkushi (suicide) ki lakeerain dekhi hai, mera sara sakoon barbaad ho gaya hai. Na jaane main ne kitne hi logon ke dil ka sakoon cheena hoga. ....now I classify knowledge of palmistry as whispering of witch !"

6 comments:

Anonymous said...

asalamalaikum....WOW! I'm speechless. Mager sochne ki baat hai..is all life really written in stone..Allah kay hazoor bhi? Free will lets us change almost anything and everything does it not?

Anonymous said...

This is such a debate which never ends.

But I think, life is like a big 'maze'. It all depends what path 'you decide' to follow and consequences will follow. Plus: It also brings in between the Q of prayers, good will etc..

Mystic

Anonymous said...

kya yeh sachi kahani hai?
mera dil to ruk gaya padh ke
par kahani padh ke aisa laga jaise woh palmist khud ko logo ka future banaane ke liye blame kar raha ho

suicide jaisi dardnaak maut shayad hi koi hoti ho...

mystic-soul said...

Ye baat sahi hai magar suicide bhizindagi ki aik aesi haqiqat hai jo roz hamare aas paas hoti hai.

Baat ye hai ke, agar aap ne kisi ko keh diya ke aap ke saath aesa hoga to woh shakhs saari zindagi be-sukoon ho jaata hai...aur kon jaane ho na ho !!

sobia said...

I was just wondering k palmistry se hamara yaqeen DUA se qismat k badal jane per kam ho jata hai ya ziada?

mystic-soul said...

Mera khayal hai.... palmistry is a black ilm and it makes peoples' belief on DUA weak !