Thursday, September 20, 2007
Ratan Bai urf Rattie
Duniya main samandar se bhi gehra agar koi zakham hai to woh insaani rishton ka zakham hai.
Mohammad Ali Jinnah ko log 'man of iron will' kehte the. Agar kisi aik shakhs ne Pakistan banaya to woh Mohammad Ali Jinnah ka dimag tha (Its another story that we turned the biggest political achievement of 20th century into biggest fiasco). Aesa shaks zindagi main sirf 2 baar roya. Pehli baar jub woh apni biwi ki qabar ko matti de raha tha aur dusri baar jub hindustan chorne se pehle woh aakhri baari apni biwi ki qabar pe gaya!
Jub lambe baalon wali Ratan Bai urf Rattie, daughter of bombay's cotton tycoon Dinshaw Maneckji Petit, Mohammad Ali Jinnah ke ishq main giraftar hui to sirf 16 baras ki thi aur Jinnah ki umer 40 baras thi. 24 baras ki umer ka faraq bhi kuch na ker saka. Mohabbat ke liye rattie ne baap ka ghar chor diya aur jinnah ne raja shahab mehmoodabad se mili qimti anghuti rattie ko pehna di. Magar ye mohabbat, quaid-e-azam ki siyasi zindagi ki bhainat char gai. Shadi ke pehle 4 saal baad, ratti apni bachhi ko utha ker london chali gai magar jinnah ki mohabbat usey phir bombay khench laayi. Dono ki koshish ke bawajood ye 'relationship' nahi chali. Quaid-e-azam ki muslim leauge bar bar bich main aati rahi. Saali ratti ki sokan. Dono ki phir alehdgi ho gai. Rattie, jo ab maryiam thi, ko Jinnah ki mohabbat ka gum kha gaya. Apni 29win salgirah ke roz Rattie akelepan main bombay ke Taj Hotel ke aik kumre main is duniya ko chor gai.
Rattie khud to chali gai magar peeche aik zinda laash chor gai. Aik aesi laash jis ne Pakistan to bana diya magar apne dil ki weraniyaN na bhar saka. 18 baras baad bhi agar dubara roya to wahin jahan pehli baar roya tha !
* (baqol quaid-e-azam ke driver 'azad' ke, woh raat ki taariki main apni biwi aur beti ke kupron ko saamne rukh ker roya kerte the).
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
What an ultimate tragedy, Rati got her love of life, but didnt have him. Tried to leave him but couldnt do that either.
And then think of people who say Pakistan came into being as a result of personal greed of the politicians!! Is greed stronger than love??!!
I think pakistanis should understand what jinnah put on stake for Pakistan..He made his choice for Pakistanis and...now see where they are taking this country !
Post a Comment