Tuesday, September 11, 2007

Shaukat Siddiqui


Shaukat Siddiqui urdu ke aese writer hain, jis ke baare main har subh zulfiqar Ali Bhutto puchte the ke, "aaj shaukat siddiqui ne kiya likha hai" (Shaukat Siddiqui Bhutto ke dor main aik akhbar ke editor the). Agar aap ne un ke do mashoor novel ya us pe bani TV serials "Khuda ki Basti" or "Jaangloos" parhi ya dekhi ho to aap ko andaza ho jaaye ga ke kese unhon ne muashre ke na'suroN pe nishtar aazmai ki hai.

Jub main ne unka afsana "Kaali Bala" * parha to mujhe pehla khayal ye aaya ke: "Ye afsana is sawal ka jawab hai ke kiun main ne aur mujh jese laakhon middle class logon ne pakistan chora. Hum nahi chahte ke hamari aulad ka bhi wahi haal ho jo is kahani main aik school master ke bachhon ka huwa".


(It may remind you of earlier posts like sam ne pakistan kiun chora and Aik kahani)

* Shaukat Siddiqui's "Kaali Bala" Page 1, Page 2, Page 3, Page 4, Page 5, Page 6, Page 7, Page 8, Page 9, Page 10, Page 11

No comments: