Saturday, August 09, 2008

Aik anhoni kahani

An unusual tale of "Near Death Experience"

"Doctor Sahab ! aap ise mere dimag ka khalal keh sakte hain magar khuda ki qasam aik aik lafz sach bayan kerta hun. Us raat meri tabiyat bohat kharab thi. Mere bachne ki umeed kum thi. Ab to hospital walon ne bhi keh diya tha ke mazeed ilaj mumkin nahi. Meri gurbat ka to aap ko ilm hai hi. Chote se aik kamre ke us makan mai - mera sir biwi ki god main tha aur jism neem murdah zameen pe para tha.....Us raat meri biwi ne bacche ko aap ki clinic bheja magar aap clinic band ker ke ja chuke the. Raat ke 11 ya 12 ka waqt hoga. Pehle mujhe aesa laga aap aaye ho magar phir aik aehsas tha. Yun mehsoos huwa jese koi dur daraz se urta aaya aur kachhi abadi ki andheri gali se mere chote se makan main daakhil huwa. Main to wahin para tha magar mujhe us ke ur ker aane ka aehsas tha - haan bikul aese jese superman aata hai - Us ne mere ghar main dakhil ho ker kaha: "Main maut ka farishta hun. Pehle apne bachhe (children) theek ker lo, phir le jaun ga". Yaqeen kijye doctor sahab us din se tabiyat jo khud b khud sambhlna shuru hui to sahatyaab hi hota gaya. Is baat ko itna waqt guzar gaya ke ab bachhe bhi bare ho kar apne kaam kaaj main lug chuke hain. Lagta hai - ab kisi bhi waqt phir bulawa aa jaye ga."

No comments: