Tuesday, August 19, 2008

Munir ki guriya

Munir koi 2 baras pehle Karachi se aa kar mere 'neighborhood' main abad huwa. Use Pakistan ki yaad bohat satati thi. Ab ke summer vacation main, main ne hi use mashwara diya ke bachhon ke saath Pakistan ho aaye. Jaate waqt apne mail box ki chabi de gaya ke meri mail collect kerte rehna. 2 roz pehle mail collect kerte mujhe khayal aaya ke Munir ne to ab tak Pakistan se wapas aa jana chaiye tha. Ab to school bhi shuru hone ko aaye hain.

Main ne Munir ke ghar Karachi phone kiya to mere pairon tale se zameen nikal gai. Qissa Munir ki zabani suniye:

"Yaar 2 mahine se jis uftad main para hun, kiya kahun. Karachi paunch ke mera pehla hi din tha. Mera bhanja mujhe se milne aaya. Mere ghar Karachi main gari hai, main ne kaha - aao tumhe chor dun. Raaste main aik restaurant nazar aaya jis ke bahir bachhon ke khelne ke jhoole lage the. Meri Guriya (his 4 year old daughter) zid kerne lagi ke yahan khelna hai. Hum wahin beth gaye aur guriya khelne lagi. Kuch der baad aehsas huwa guriya nazar nahi aa rahi....... Guriya khoi to aesi khoi ke aaj tuk nahi mili. Police report kaho, akhbar main ishthar kaho - har jatan ker dekha. Main khud ilaqe main meelon chala hun. Gharon pe poocha - magar guriya nahi mili. Meri biwi pagal si ho gai hai. Roz rote rote mujhe kosti hai ke meri beti kho di...Jub tuk guriya na mile, kese wapas aaun?"

Kiya khabar thi mera mashwara aik afat bun jaaye ga !

7 comments:

Anonymous said...

reading this was extremely unnerving.

aap ke dost ke liye dil se duaien hain.

Anonymous said...

kaisay mumkin :(

Dipti said...

Brother.. Allah mehar karey ... nanhi si guriya aur uske apno ke liye bohot sii duayien.. i'll keep my fingers crossed ...God bless..

Anonymous said...

Adnan, annony, dipti -- keep guriya in prayers...

Anonymous said...

please keep us up dated if you hear any thing about guriya,

Anonymous said...

I will...

Anonymous said...

oh my God.it is really scary.and its not that its pakistan or anything,a child lost is a world lost.and i have to say(being a mother of two)that uncertainty kills you more.if the child is dead,you have some idea how to deal with grief.but a lost child is totally hopeless.