Saturday, August 16, 2008

Why do I blog - 2

Mujhe Diary (now blog) likhne ki adat koi 25 baras se hai! Saal bhar se ziyada huwa, main ne aik post likhi thi "why do I blog", jis ka theme ye tha ke: "Jin baaton pe mera akhtiyar nahi, un pe blog likh ke izhar to ker sakta hun".

Magar blog likhne ki is se bhi bari aik aur wajah hai.

Peechle mahine main ne "
the last lecture" parhi aur tub se ye post likhna cha raha tha. Mujhe bhi kitab ke musannif ki tarah ye khayal aksar aata rehta hai ke agar aaj meri maut waiqye ho jaye to: "What would I left for my kids?"

Banu Qudsia kehti hain: 'hum apne bachhon ko siwaye duaon aur nasihat ke de hi kiya sakte hain". Shayed main ye blog apne bachhon ke liye hi likhta hun ke agar kul main na hun to - they atleast know, what their father wanted them to learn from life !
....................


Bohut kum log jaante hain ke main blog likhta hun. Pechle saal Montreal ke aik khubsurat din, main ne apne aik dost se kaha tha: "agar main mar jaun to koshish kerna, mere bachhe mera blog parh sakain".

I hope my friend remembers my request.

No comments: