Hum us waqt koi 7/8 baras ke rahe honge. Hamare Nana Africa se wapas aaye to sab ke liye kuch na kuch tohfa le ker aaye. Magar mera tohfa sab se mehnga tha. Mere liye woh aik achhi si inglistan ki bani hui gari le ker aaye, jo chabi se chalti thi.
Amma ne mujhe gari di to boliN: "Ye bohut mehngi gari hai. Poore 25 rupe ki (us waqt 25 rupe bohat hote the). Dekho sambhal ke rakhna aur bhai ke saath mil ke khelna." Main bhai ke saath bhala kiun khelta? Saath ke dusre 'cousins' ghar aate woh bhi bohat kurhte. Main bari 'raunat' se gari se khelta aur unke dil jalata rehta.
Aik din un sab ne paise jama kiye aur bahir 'Rafiq chacha' ki dukan se 2 rupe ki choti gari khareed ke le aaye - aur mujhe challenge kiya: "Race laga lo. Jo gari jeete woh behtar". Main apni bari gari ke zom main tha, race laga betha. Us do rupe ki aluminium ki khali kholi halki gari se meri bhari bharkham chabi se chalne wali gari buri tarah haar gai. 8 main se 7 cousins ne yaktarfa mere khilaf faisla de diya - aur main haar gaya.
Main barson is haar pe kurhta raha. Woh haar mujhe hazam nahi hui. Kese maan lun? meri inglistan ki bani itni mazboot model ki gari Rafiq Chacha ki 2 rupe ki gari se haar gai?
Magar jub zindagi ki resha-dawanion se pala para tub mujhe us haar ka matlab samjh aaya: Aadmi jitna mal-o-daulat ke bojh se apne aap ko bhari ker le, utna hi uska chalna mushkil ho jata hai. Rafiq Chacha ki 2 rupe ki gari ka rasta hi asan aur sahal rasta hai.
"Allah hum sab ko asani de aur asani taqseem kerne ka sharf bakhshe" - Ashfaq Ahmad
No comments:
Post a Comment