Main metric main tha jub Sher Khan ne hamare mohalle main makan liya. Sher Khan ka taaluq Chitral se tha. Us ne Karachi University main admission liya tha. Sher Khan "surkha" (leftist) tha aur testosterone nikalte hi mere khayalat bhi bagyana (rebellious) ho gaye the. Sher Khan se meri dosti ho gai. Jub Pakistan main General Zia ke khilaf MRD ki tahreek chali to main Sher Khan ki banners banane main madad kiya kerta. Mere Medical School main paunchne ke baad ye dosti aur gheri ho gai.
Sher Khan ne aahista aahista apne chote bhaiyon, bhanjon aur bhatijon ko bhi Karachi bulwa liya. Main unko tutition parhaya kerta. Aik din tuition parhane pauncha to ghar band tha. Parosion ne bataya, Sher Khan Chitral gaya tha wahan use kisi ne golian maari hain aur hospital main hai. Saare ghar wale chale gaye hain. Koi 6 mahine baad, Sher Khan wapas aaya to main ne Poocha: "Kiya siyasi chakkar tha?",
bola: : " Nahi ! Purani khandani dushmani thi"
Main ne poocha: "Dushmani kis baat pe chal rahi hai?"
Sher Khan ne jawab diya: "ye khandani dushmani bhi ajeeb hoti hai. Dono taraf kisi ko nahi maalum asal jhagra kub aur kiun huwa tha. Har nasal ke sainkroN afrad mar chuke hain. Tum mujhe parha likha samjhte ho na ! magar bachpun se meri aesi brainwashing hui he ke saamne waale ko dekh ke mera khun kholne lagta hai. 8 main se 1 goli ab bhi andar hai. Ye Khandani dushmani bari kutti cheez hai."
Never underestimate the power of revenge....
No comments:
Post a Comment