Saturday, December 13, 2008

Sir Jazakallah!

Jab hum aathween (8th class) main the to hamare islamiyat ke aik ustad dusri school se transfer ho ker aaye. Naam to unka Sir Manzar tha magar jald hi woh school main Sir Jazakallah ke naam se mashoor ho gaye, kiunke woh har baat pe Jazakallah kehte the. Aik din main period ke beech main bathroom se aa raha tha ke unhon ne mujhe rok ke poocha: "Mian barkhurdar! ye period ke beech main kahan ghum rahe ho?" 

Main ne kaha: "Sir bathroom se aa raha hun" Woh bole: "Jazakallah" 

Main ne class main aa ker ye baat dostoN ko sunayi aur hum poora din unka mazaq urate rahe aur baat be baat pe aik dusre ko jazakallah bol bol ke haste rahe. Mere bare bhai cricket gazab ki khelte the. Itni shandar batting kerte the ke mohalle main 'Clive Lloyd' ke naam se mashoor the. Unke saath main bhi poora din jhulsa dene wali garmi main cricket khelne ghumta rehta. Aik aesi hi garmi ki dophar main shadeed dehydration ke baais mujhe 'kidney stone' ka aesa dard uttha ke nani yaad aa gai. Jub bhi peeshab kerne jaata aesa azar hota ke Allah ki panah! Us din Sir Jazakallah bohut yaad aaye. 

We take life's so many blessings as granted. Even having a healthy excreta is a blessing. Jazakallah!

No comments: