Friday, October 19, 2012

Furqan

Ye 1992 ki baat hai....Main 'PMDC' se apni degree ki tajdeed kerwane Islamabad gaya huwa tha. ..Taxi nahi mili to wagon hi pakar li...Wagon main sawar hone laga to saath saath aik Babaji ki bhi wagon main charhne main madad kerdi..

Babaji bole: "Beta! Allah Hazrat Musa ki tarah tumhe bhi kitab aur Furqan ki nemat de".....

Main ne Poocha: "Babaji! Ye Kitab aur Furqan ki nemat kiya hoti hai"

Babaji bole: "Beta! kitab to sab parh lete hain magar kitab ke sath Furqan ki nemat har kisi ko nahi milti. Furqan faraq se nikla hai. Matlab ye ke Allah tumhe na sirf kitab parhne ki nemat de bulke saath saath zindagi main achhe bure ki tameez kerne ki nemat se bhi nawaze.."

20 baras main bare bare tafseerdaanoN ki furqan ki taaweelaiN parh li...magar aik line main Furqan ki jo 'defination' babaji de gaye woh kahin na mili....


(As per Arabic roots - its true that Furqan originated from word faraq)

2 comments:

Beyond said...

kya khoobsurat baat hai.kya khobsurat dua hai.Allah hamain hadaiat de.yeh dua qabool ho jaiy to zindagi aakhrat sab sawnar jaiy.aap khush kismat hain.aap ko zindagi main bohat ache log mile hain.

mystic said...

Yes! I was lucky in this matter......I mate many good people in life