Friday, November 02, 2012

On 'Nafse-Lawwama' (human consciousness)

Years ago - when it was a liberal Pakistan, I was once given an unique lesson by a pure bearded Mualvi. It was Baqr Eid and I had to accompany a friend in a very low socio-economic area of Karachi. I had never heard of that area before called ramswami. At my friend's relative house we met a pure bearded mullah. He was young though, in his 30s. At that time I was pure agnostic and was highly allergic to religious people. But what he said, amazed me and I never forgot his lesson. I was a medical student and he kept calling me Sir!

"Sir! Qayamat ke din hisab is baat se nahi hoga ke aapne kitne bakre kaate, kitni qurbani ki.  Sir! hisab is baat se bhi nahi hoga ke aapne kitni namazain parhi, kitne roze rakhe, kitne Haj kiye ya kitni kheraat ki. Sir! ye sab to 'Supplements' hain! In sab ka sawab added ho ga, - Magar Sir! aap ko pata hai hisab ki kasoti kiya hogi?" - "Sir! hisab is baat se hoga ke aap ne apni zameer ki awaz pe kitna dhiyan dhara!!...Sir! Quran ki aik surah hai 'Surah Qayamat'. Us main khuda Qayamat ke saath saath insaan ke 'nafse-lawwama' ki qasam khata hai. Aap ko pata hai 'nafse-lawwama' kiya hai? Sir! 'Nafse-Lawwama' insan ke zameer ko kehte hain. ...Na to khuda ne 'Nafse-Ammara' ki qasam khai aur na hi 'Nafse-Mutmainna' ki.....Ye dekhain Sir! (us ne mujeh Quran ki 75:1-2 ayat khol ke dikhai)...Sir! mujeh to yahi samjh aata hai ke jab Khuda Qayamat ke saath Insaan ke Zameer ki qasam khata hai to  sab se bari azmaish khud isaan ka zameer hai....Sir! aap samjh rahe hain na, main kiya keh raha hun"?

4 comments:

Beyond said...

Wah.kya khobsurat baat hai.aap kitne khush kismat hain.aap ko kitne ache log mile hain zindagi main.

mystic said...

Yes..its true..

Though I never expected this coming from a full bearded typical maulvi

Har Baqr eid pe ye baat yaad aa jaati hai

Beyond said...

Ab kuch aisa lagta hai kay log darhi kay khalaf se ho gaiy hain.meray mian sahib ki bhi beard hain magar woh bohat naram mizaj kay hain.shaid media ka kasoor hai jo aisa tasur logon main phela deta hai(i am cringing when i am writing this as it sounds really sterotypical but i believe it is true)

mystic-soul said...

mystic said...
It was my mistake. I guess, I was not clear. I was talking about my mindset at that age....

But this is true also - we stereotype all beards alike!