Sunday, January 20, 2013

Zindagi - aik Pied Piper

(Was thinking about 'Pied Piper' since read Aisha's post: 'Neighbors, newborns, and the prospect of letting go' (here)

Bachpan se bohat khaniyaN suni hain, magar aaj bhi aik kahani yaad aati hai to dar sa jaata hun..soch main par jaata hun!

Agar aap ne 'Pied Piper' ki khahani nahi parhi to zaroor parhiye.......Kahani yun to lambi hai magar mukhtasar ye ke..........

Inglistan ke kisi qasbe main aik dafa aik 'Piped Piper' aata hai. Woh aesi meethi dhun bajata hai ke - sab bacche us dhun ke peeche chal parte hain. Yahan kahani khatam ho jaati hai.....Na to 'Pied Piper' ki dhun phir sunai deti hai aur na kabhi bachhe phir laut ke aate hain.... Kehte hain 'Piped Piper' gaun gaun yunhi phirta hai!

Zindagi bhi aik 'Pied Piper' hai. Hum samjhete hain ye bachhe hamare hain - magar hamare piyar se ziyada meethi us 'Pied Piper' ki dhun hai jo unhe aik din saath le jaati hai

2 comments:

Aisha said...

So profound and true, brought tears to my eyes. Thank you for sharing.

mystic-soul said...

:) and :(