Wednesday, December 09, 2015

Stuck between "Naseh" and "chara-saaz"

Mirza Ghalib ne kha tha

Ye kahaN ki dosti hai ke bane hain dost naseh
Koi chara-saaz hota, koi gum-gusaar hotaa

Meri saari zindagi ye khawhish rahi ke main Thomas Hardy ke novel, "Far From The Madding Crowd" ke kirdar 'Gabriel Oak'  jesa dost ban sakun - magar 'Naseehat' aur 'charasaazi' ke darmiyaan itni patli lakeer hai ke us pul-siraat se guzarna aksar na-mumkin ho jaata hai.

Meri zindagi main aese kai moR aaye jab kai dost mere paas gum-gusaari ke liye aa ke bethe magar - aik dost ke naate - mere liye zaroori tha - ke main unhe talkh baat kehta - unhe unki galtioN ka idraaK dilaane ki koshish kerta. Isi chakkar main kai dostiaN toot gai.

Kisi ne aik aam si, be-wazni nazam aaj forward ki thi - magar sach hi hai

3 comments:

mehnaz said...
This comment has been removed by the author.
mehnaz said...

True friends are like mirrors and also shadows who never leave. I am brutally blunt so I know the path is difficult to tread. I would anyday prefer a friend who brings me out of my delusions,its a blessing to have such friends. Sometimes people outgrow each other but this should not be the reason. On a different note ek sher hai ke'
Mujhe chod de mere haal par tera kya bharosa hai charagar, ye teri nawazish e muqtasar mera dard aur badha na de.

mystic-soul said...

Isn't this shakeel badayuni sung by begum akhtar?

https://www.youtube.com/watch?v=XYgG6SiX7ZE