Saturday, May 21, 2016

Doctor Karim Kheera

Dr. Karim mujh se 3 saal senior the. Meri unse dosti medical school ki library main hui. Orangi town main rehte the aur subah sawere fajar ki namaz parh ker ghar se niklte aur har subah saat baje library khulne ke time sab se pehle aadmi hote. Unke kai naam the - Karim library, Karim saat baje, Karim orangi, Karim tuition wagera magar sab se ziyada takleef-deh naam tha Karim Kheera.

Jab tak maloom na tha, mujeh bhi bara ajeeb lagta - woh ghar se rozana 4 ya 5 kheerey (cucumber) le ker aate aur poore din main har 2/3 ghante ke waqfe se library se nikalte - aik kheera bag se nikalte, aur ghar se laaye chaat masala aur namak mirch chiRak chiRak ker khaate. Phir library ke saath lagi tank se pani ka aik glass peete. Log unpe awaz kaste to muskura ke hans dete. Mujeh library main guidance ki zaroorart paRti to un se pooch leta. Aahista aahista dosti ho gai. Bhaiyon ki tarah rakhte, samjhaate, guide kerte.

Aik din darte darte main ne poocha - Karim bhai ye kheerey ka kiya maajra hai? Muskura diye aur bole - Dekho bhai hum orangi town ke rehne waale hain. Shaam ko tuitions paRha ke mahiney ke 1000-1200 rupe jamah ker leta hun. Ghar ke kharch main abba ko 1000 rupe de deta hun. Mere liye 200-300 rupe bachte hain. Bus ka kiraya aur kitaboN ke kharch ke baad, yahi theek rehta hai ke sabzi wale se mile saste kheere se pet bhar lun. Hum khud koi bohat ameer na the magar Karim bhai se us din ke baad main ne koi sawal na kiya.

Unhon ne Orangi town ki Qatar hospital main subah shaam kaam ker ke kese imtahan paas kiya, malum nahi - magar woh ECFMG paas ker ke America chale gaye. Phir barson baad pata laga NY main surgery ki residency ker rahe hain, phir kisi ne bataya cardiothoracic surgery ki fellowship ke liye Cleveland Clinic main hain - aur phir barson pata na chala kahan gaye. 2 mahine pehle doctors ke aik program main achanak mil gaye, khub gale se lagaya, ghar walon ki khairiat poochte rahe. Pata laga Boston ki aik well renowned university main cardiac devices aur transplant surgeon ke tor pe associate professor kaam ker rahe hain. Batain kerte huwe parking lot main hum saath aaye to Mercedes 500 series ki gaari thi. Meri nazar gaari pe dekh ke bole - qasam le lo orangi ki bus ab tak nahi bhoola.  

Main mil ker zara dur gaya to awaz de ke wapas bulaya - gale lagaya aur chupke se poocha: Kheera khao ge? - Aur phir gale laga ker bohat hanse. Woh chale gaye - aur main sochta raha - log inhe kitna cheRte the, mazaq uRate the - magar inhain kisi ki parwa na hui aur apni manzil pe paunch ke dum liya. Zindagi ki doR main ye bhi aik shaks tha!

Sochta hun kisi roz aik baar Karachi jaa ker subah sawere fajar ki namaz ke baad bus se orangi town ka safar karun - aur dekhun ke kheerey pe poora din kese guzarta hai.


8 comments:

Beyond said...

OMG. Cumcumber is nothing but water. He survived the whole day on kheeras!

But I think when you know there are no other options, you tend to be more focused and survive.

mystic-soul said...

Its all water but fill you up nice for 2/3 hours with all fibres. Objective of this post was to write story of millions of young people in third world who are going through hardships due to poverty but keep themselves focus on their objective

Anonymous said...



I think, it also speaks of massive brain drain from third world countries. I believe, this is the major problem in developing countries, that they fail to retain human talents and they all migrate to greener grass - making this world a more bipolar place. All good luck to surgeon sahab.

Zafar

Anonymous said...

I love cucumbers and yes you can survive on those kheeras all day with Chaat masala due to its fiber content . Its my favorite lunch
till now - Only eat this or an apple during my lunch and I don't even know Dr.Salim :)

You didn't say how was health overall though ~ Just wondering because Raw Diet lifestyle is huge these days :)

mystic-soul said...

He was lean and thin (very)

Mystic said...

Dr. Ali Jafferani: Answer to your question is YES (it was Dr. SR)

but unfortunately, I have to delete your comment for privacy reason.

Aly said...

I understand, I have heard a lot of him in Boston community hopefully, I get to meet him once before I head back to Karachi for good. And I am not a doctor.

dopamine said...

as they say, "Godrion mein laal"