Monday, May 23, 2016

On "Novels in Urdu Literature"

Ye 1984 se 1987 ke beech ka koi zamana tha. Karachi university ke Urdu department ne shaam ko "Urdu main novel-nigari" pe nishast ka aehtmaam kiya. Ye woh zamana tha, jab hum apne aap ko Urdu literature ke champion samjhte the, halanke ibne safi se ziyada ki khabar na thi. Main 3 busaiN badal ker wahan pauncha. Ye bhi nahi maloom tha wapas kese aaun ga ke raat ko (tab university ke weerane) se transport kum hi chalta tha. Nishast ki sadarat Intazar Hussain ker rahe the. Wahan kisi ne shosha choRa aur mehfil se pocha: "Aap ke khayal main Urdu ke 4 baRe novels kaunse hain?" . Pehle 3 par to sab ka ittfaq tha magar chothe naam pe baRi le de hui.

1. Udas NaslaiN (Abdullah Hussain)
2. Aag ka Darya (Quratulain Haider)
3. Raja Gidh (Banu Qudsia)
4. ChakiWaRa main wisaal ( Mohd. Khalid Akhtar)*

* Main ne chaaroN novel paRhe huwe the - go samjh kuch kum hi aaya tha. Main ne haat khaRa kiya aur kaha - ChakiWaRa main wisal ki bajaye is list main Shaukat Siddiqui ke novel "Khuda ki Basti" ko shamil kiya jaana chahiye. Aaj 30 baras baad bhi main samjhta hun: "Go ChakiWaRa main wisal , khuda ki basti se ziyada 'intense' novel hai magar us main kirdar-parwari (Character building) aur zujiyaat (supplements) ka fuqdan hai". 

Kai aur naam liye gaye, maslan Ahmad Ali sahab ka "Dilli ki Sham" bhi noveliat (?word) ke saare mayaar pe poora utarta hai, magar asal musaweda angrezi main hai (Twilight in Dehli). Ye uska tarjuma hai. 

Aur zaroor kai aur naam bhi the...

'Udas Naslain' ka bohat hi khubsurat hissa (muttafiq hona zaroori nahi)



6 comments:

Anonymous said...

I think its called "Adaptation " and we humans are programmed to do so ! Otherwise no one can ever be happy !

bsc said...

Beautiful and intense choice of page asking for questions, I have not even seen these novels and only know Qudsia bano I feel but having graduated from a small village and at the time of Partition it is understandable.

Rida said...

اس طمانیت سے زندگی بسر کر رہی ہیں جیسے وہ خوش ہیں....!
یہ کیسے پتہ چلے گا کہ کوئی اور انہیں کتنا خوش رکھ سکتا تھا..؟؟

mystic-soul said...

Anony bhai: Wah kiya achhi baat kahi...simple, practical and sach...(please introduce yourself)

Rida: Theek kehti ho. Nobody will ever knew

Books and Stilettos said...
This comment has been removed by the author.
Books and Stilettos said...

Ji , I was anonymous before and now am less anonymous ? with a name Books n stilettos :)