Sunday, May 15, 2016

On "Sibling Rivalry"

It was almost 3 in the morning when I came out at Manchester airport. It was not a surprise that my taxi driver was a 60-year-old Pakistani gentleman, named Yasir sahib. When he came to know that I am from USA, he started to ask many questions and was curious about going to USA, trying luck and be prosperous like his brother!

"Hum do bhai the. Woh USA chala gaya aur main qismat aazmane UK chala aaya. 40 baras main woh bohat aage nikal gaya aur main ab tak Taxi driver. Khandan main har jagah usi ki baat hoti hai, aao bhagat hoti hai aur taarifoN ke taante bandhte hain. Main ne to ab ruswaii ke dar se Pakistan jaana bhi choR diya hai. Bus aik dafa duniya ko dikha dun ke main bhi us ki tarah kuch hun"

And I was thinking:

Ye zindagi saali baRi kutti cheez hai - Insaan ke bachpan ke ghao kabhi nahi bharne deti. Insaan saari zindagi kisi na kisi surat gali main doRne wale bachhoN main se woh bachha banna chahta hai, jo looti patang haat main le ker aik faateh ki tarah mohalle main dakhil hota hai, aur baqi sab bachhoN ko tamaskhur ki nigah se dekhta hai.

Shayed Insaan kabhi baRa nahi hota - bus bachpan ke khel ke rang badal jaate hain.

7 comments:

Shaan said...

apke ke blogs bhaut soachne pey majboor karde te hai.......jaise ki success us katti patang ki tar hi hai....kab kha giriey gi pata nahi, hasil wohi karta hai jo nazar asmaan par aur apne pair zammen par rakta hai...loved it sir...

mystic-soul said...

Shaan: 100 dafa kaha hai,, tum likhna shuru karo

Unknown said...

Hello sir...I am ur biggest fan,I am from New Delhi ,India.
I am follow your blogs since 2008, I love your blogs seriously & I read it everyday almost..& Specially your desi blogs your personal experience is just awasom...keep writing ...All the best

Unknown said...

shaan: I am the one whom you follow on zindagi k panno se that is my first and last blogs after that i have never write and blogs.

mystic-soul said...

Shahab bhai - baRi der ki meherbaan aate aate

2008 se aap ye blog paRh rahe hain, aur ab comment kiya hai?

Thank you and I am happy somewhere out there is reading there so regularly.

Unknown said...

hellooo I am ms.Shabab....koi baat nahi der aaye per durust aaye

mystic-soul said...

oops.. I am sorry.