Saturday, September 10, 2016

Aik kaRwa sach?

(From discussion last night among friends. I don't know but certainly, it hit me badly)

Chahye lakh taaweelaiN pesh karo, magar is haqiqat se inkaar zara mushkil hi ho jaata hai ke:

"Jab aurat mard ko jismaani aasudgi na de sake to woh us ke liye bekaar, aur agar mard aurat ko maali aasoodgi na de sake to woh us ke liye aik bojh ban ker reh jaata hai".

4 comments:

bsc said...

mumkin hay theek ho magar iss haqiqat ko maan liya jaiay to dwo batoN per chote paRti hay aik : woh jisay muhabbat ya piyar dosti waghaira kehtay hain
doosri: feminism ya zaujain ki brabari jiss main ham sex ko nikal dain
aap loge mujh say ikhtilaf rkhain gay keh aurat baghair sex kay mard ko jismani asoodgi kaisay dela sakti hay maybe aapko iss tariqay say sochnay ki dawat de raha hoon

Shaan said...

I don't agree with the statement. It may in some case but sab aur aurat aur mard ke bare mei nahi khe sakte.Aur inn cheezo ka saboot nahi diya jaata yea app ko experience karni padti hai chahe woh appki ya phir dusro ki zindagi ho bhaut kareeb se samajni padti hai....

mystic-soul said...

Uncle: It reminded me a joke that: "Jab biwi se piyar hone lage, samjho buRhapa aa chala hai".

Shan: I am myself not very agreeable to this statement but this blog is all about how people view and experience life.

Books and Stilettos said...

Jab mard ko aurat say jismani asoodgi nahi milti tou shaid wo dosri aurat ki talash karna chahay ga -- shayed ye uska haq bhi hai but .. I disagree with the second part ...Just because a man is not able to provide for a woman doesnt automatically makes him useless for a woman !
Well if his intentions are to never ever support then yeah maybe but why a woman would want to stay with him then??? -----really it all depends on one*s circumstances, I guess !