Friday, January 12, 2018

"Dukhi log"

Main ne duniya main do tarah ke dukhi log dekhe hain

Maana ke dukh bari zaalim cheez hai
 - Aulad ka dukh, ishq ka dukh, rozgaar ka dukh, hijrat ka dukh, apnoN se beechaR jaane ka duk, bimari ka dukh - aur aese laataadad dukh

Ye bhi maana - jese 'First Urdu Original Hippie Poet" (chacha Ghalib) ne kaha:

dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht - dard se bhar na aaye kyuuñ 
roeñge ham hazaār baar - koī hameñ satāye  kyuuñ

Magar kuch log woh hote hain jo dukh pe ya to ro lete hain - ya use jazb ker lete hain - ya kahin andar baandh rakhte hain - magar chal paRte hain (move on ho jaate hain). In ka ziyada tar wateerah ye hota hai - dusron ko dukhi nahi dekh paate - kisi charity main lag jaate hain - kisi ke kaam aate rehte hain - ke - 

- andar ke dukh ka marham 
- bahir kisi ka chaara-saaz hona hai

Ibne maryam huwa kare koi

Magar dukh  jhelne waloN ki dusri type bari pareshan kerne wali hai - Ye woh hote hain - jinhe apne dukh se milne wali 'sympathies' ko jama kerne ki adat paR jaati hai - Inhe apne ishtahari "Victim Card" ka maza lene ka chaska paR jaata hai - Aur ye baRa addictive hota hai

Bus insaan ki koshish rahe - woh kabhi dusri type na bane

2 comments:

bsc said...

I thought you are going to start about Gautam Buddh
His philosophy you remember started from Seeing people in Dukh and that is called
Dukkha His teachings are more therefore philosophical and do not provide way of life except worship and dheyaan - Meditation.
Although he may be a true Nabi/prophet but I always had objection to his start for he left his wife and child at home to go into meditation or wanderings and what we learned in history he obtained "GiyaaN' under the Bunyan tree where he sat for x-number of days
That may be his ?meraj if he was a Nabi because some Ulama have said the name
Zul-Kifl" in the Quran may be reference to him, he was from that place called Kapal-wastoo.

mystic-soul said...

Uncle :: I learned something.

Thank you!!!

Never heard of Zul-kifl referring to Gotum Budh before..

Interesting