America main mujeh aik nahi bulke kai aese log mile jo apne mulk main aik behtreen zindagi guzar rahe the, aur phir halat ki wajah se yahan aaye aur ab unhe zindagi guzaarne ke liye 'odd jobs' kerni paR rahi hain.
Ye woh log hain jo apni zindagi ki second innings khel rahe hain.
- Chicago main aik russian neurosurgeon se mulaqat hui, jise 'janitor' ka kaam kerna paR raha tha
- Dallas main gas station ke counter pe aik Pakistani orthopedic surgeon se mulaqat hui
- Toronto main aik Bangladeshi pharmacist se cab main mulaqat hui
- Houston main Karachi University ki aik microbiologist PhD professor ko Phlebotomist ka kaam kerte dekha
- LA main aik Iranian writer ko dry cleaning pe kapre sort out kerte dekha
Main aksar un logon ke baare main socha kerta - Ye log "events of life" ki wajah se - ab zindagi ki 'second innings' khel rahe the. Main aksar sochta: In main kiya cheez mushtarak hai
In sab main aik baat mushtarak thi - ye sab apni 'second innings' ki job bhi bari imandaari aur mehnat se ker rahe the - shayed afsos ka shaaiba zaroor ho, magar nadamat nahi thi - ye sab ab bhi apni zaat main utne hi purwaqar the. Shayed maali tor per gareeb the magar andar ki daulat wese hi thi
Aur shayed ye us kirdaar ki taqat se thi - jo ilm ke noor se aati hai
2 comments:
na malum kia kia majburian hongi her aik ki alag alag kahani hogi but a neurosurgeon doing janitorial is top
Of course I also know some examples of this kind. Usual reasons are inability to pass all tests/exams or such things
Agree. Neurosurgeon/Janitor came from his country with language issue and has 4 daughters. He never had the luxury to adequately prepare for the exam.
Post a Comment