Wednesday, January 17, 2007

Sameer Ali Uncle

Sameer Ali uncle jese kamzor dil ka aadmi aesa kaam karega ye to kabhi mere wahem-o-ghuman main bhi nahi aa sakta tha. Sameer Ali uncle aur ye waaqia...kese yaqeen ker lun.

Sameer Ali uncle hamare parosi the. Aesa saada aadmi main ne na dekha na suna. Laraai jhagron se koson dur bhagte the. Apni choti si duniya main magan rehte the. Main rozana magrib ke waqt unhe apne bete ka haat pakre masjid ki taraf jaate dekhta aur isha ke baad yunhi haat thaame lotte dekhta. Ye bila-naga roz ka maamul tha. Jis din ye na hota hume pata lug jaata ke aaj unke bete hashim ki tabiyat theek nahi. Un ke bete hashim ko Down syndrome tha. Bohut severe qisam ka down syndrome. Khud unhe bhi congestive heart failure ka aarza tha. Sameer Ali uncle ghar bethe accounting ka kaam kerte.Yun un ke bete ki dekh bhal bhi ho jaati aur ghar ka dana paani bhi chalta rehta. Unhon ne apne bete ko kaiee special needs ke school main daakhil kerwaya magar hashim ka down syndrome itna shadeed tha ke kisi bhi school main ziyada na ther saka. Aakhir dil-bardashta ho ker unhon ne khud hi hashim ki dekh bhal sambhal li. Sameer Ali uncle ki begum koi 12 baras pehle breast cancer se faut ho gain thi. Aur koi rishtedar tha nahi. Jo the unhon ne bhi hashim ki wajah se ghar aana kum ker diya tha. Hashim agar kabhi apni dawaii na leta to us pe mirgi (seizures) ke dore parte. Wese bara pyara lurka tha magar bimarion ka ghar tha. Sameer Ali uncle ki aik beti thi, use america biah diya. Shadi ke baad woh apni duniya main magan ho gai. Kabhi kabhi us ke phone hamare ghar aate to Sameer Ali uncle chai peene ruk jate, to bhi ziyada tur chup rehte ya hashim ko sambhalte rehte.


Dheere dheere jese jese unka heart failure barhta gaya unka ghar se nikalne kum hota gaya. Aik din ghar ki balcony main nazar aaye to laga ke bohut ziyada bimar hain. Saans buri tarah phuli hui thi. Mohalle ke doctor ki home visits barhti gai.

Aur phir ye khabar poore mohalle pe bijli ban ker giri. Al-aman al-hafiz. Sameer Ali uncle ne aesa kiya ! Jitna sochte utna dil main hole uthta. Aik roz fajar ki namaz ke baad Sameer Ali uncle ne hashim ka gala ghonta aur apni heart medicines ka over dose le ker khud bhi khud-kushi ker li. Aaj bhi sochta hun to dil kaanp jaata hai ke aesi kiya zehni halat hogi aur majboori ki woh kiya kefiyat hogi ke Sameer Ali uncle jese kamzor dil ke aadmi ne apne hi bete ki jaan le li.

Aaj bhi jab meri nazar kisi down syndrome ke bachhe pe parti hai to Sameer Ali uncle aur Hashim haat thame masjid ki taraf jaate nazar aate hain. Aur dil kerta hai magreeb ka ye waqt yahin ther jaaye aur kabhi isha na ho!

2 comments:

cheesoo said...

this was gut wrenching

mystic-soul said...

And there are many such stories behind high number of suicides in Pakistan.

Mystic