Tuesday, January 16, 2007

Andheri Gali

Us ne apna kal raat ka waaqia mujhe kuch yun sunaya

Ghar jaldi paunchne ke chakkar main, maiN ne bari sarak tak ke liye aik short cut liya. Short cut kiya tha ghup andehra tha. Nazar aana to door ki baat, aesa andhera tha ke haat ko haat na sujhaii de. MaiN ne apni bicycle ki raftar tez ker di. Aesa lagta tha ke ye gali aur is gali ke makeen jaane pechane hain magar mujhe un se bohut khauf aa raha tha. Meri bicycle ki raftar tez thi, mujhe kisi ne chua bhi nahi (ya shayed kisi ne chua tha). Jab maiN bari sarak pe pauncha to mera wallet gaib tha.......ye kesi andheri galian hoti hain jin main apne jese hi log rehte hain, jo apni apni si lag ke bhi khaufzada kerti hain aur insaan ko pata bhi nahi chalta ke kab uski saari mataa' (fortune) us andheri gali main loot gai.

No comments: