Us ne ye bari ajeeb si baat kahi mujh se. Sochta hun to mere saath bhi kuch aesa hi huwa tha aur kai dusre logon ke saath bhi hote dekha hai magar mera khayal tha ke ye to bus ittifaq hota hai. Us ne kaha....
"Aksar bachhon ke is duniya main paida hone se pehle us ke baap ya ma ya khandan ke kisi qareebi fard ko aik naghani afat, accident, bimari ya kisi khatrnaak raahguzar se guzarna perta hai. Aksar aap ne dekha hoga ke bachhe ki wiladat se kuch hafton pehle is tarah ka koi waaqiah hota hai ya aksar khandan ka koi fard intiqal ker jata hai. Aesa kiun hota hai, ye to maalum nahi. Shayed ye jatane ke liye ke ab se tumhari zindagi is bacche ke naam hai!"
Kiya pagalpane ki baat hai. Aesa kese ho sakta hai !

No comments:
Post a Comment