Wednesday, January 10, 2007

Faasle

Aik aesi kahani jo America main basne wale lakhon illegal immigrants ki zindagi main rozana kahin na kahin likhi jaati hai !

"bhai ! jub main 5 ya 6 baras ka tha to mujhe aik bara bhayanak khawab aata tha. Woh khawab main ne aaj tuk kisi ko nahi sunaya. Main dekhta tha ke meri ma ne sufed (white) saari pehni hai aur woh jheel main doob rahi hai. Main kamzor aur chota hun. Raat ka waqt hai. Aur main apni ma ko dubtte dekhta hun..... Aaj hazaron meel door meri ma akeli maut ki aakhri saansain gin rahi hai. Main uske paas nahi ja sakta. Main aaj bhi utna hi chota aur kamzor hun - bus use dubta dekh raha hun".

No comments: