Tuesday, January 02, 2007

Faheem Bhai

Faheem Bhai se main barson baad mila. Mohalle main bara naam hota tha unka. Jeedar aadmi the. Apni shaan se jeete the. Mohalle ki har committee main shaamil hote. Shadi biyah aur mayyat dono main barh charh ker hissa lete. Police se koi 'mukmuka' kerwana ho to sub faheem bhai ko le jaate. Koi unhe gunda badmaash kehta magar jinke kaam huwe woh izzat kerte na thakte. Hamari amma hume faheem bhai se darati ke ye karo werna faheem bhai se keh dungi, woh karo wena faheem bhai......... wagera wagera. Idhar hum sochte ke zara bare ho jaayen to hum bhi faheem bhai ki tarah ye karenge woh karen ge.

"Sub behnon ke aik hi bhai - faheem bhai faheem bhai" ke naam se hum kabhi kabhi un se mazaq ker lete, ke unki maujudgi main kisi ki majal na thi ke mohalle ki larki ko cher de. Magar buri aadatain bhi bohut thin. Jaga Jaga logon ki deewaron pe paan thookna. Ab kaun unhe mana kerta. Raat gaye mohalle ke badnaam makaan main juwa khelna. Sharab chup ke peete magar kabhi kabhi danga bhi ho jaata. Aik baar kisi ne roka to sharab ke nashe main pistol nikala aur 2 hawaii fire ker diye. Ooper se ilaqe ke councilor ke siyasi karkun aur khas aadmi ban gaye.

Aur Phir aik dum se faheem bhai dubai chale gaye. Hum larke unhe bohut miss kerte. Mohalle ki raunaq the aur unke sahare hum bhi seena taan ke chalte the. Main ab ki baar Pakistan gaya to faheem bhai bhi aaye huwe the magar ye woh faheem bhai na the. Ther ther ke baat kerte. Hur cheez main dare dare se lugte. Kisi naye londe ne jaan bujh ker unki Rent-a-car pe dent maar diya. Kuch na bole. Mujh se raha na gaya. Main ne kaha: "Faheem Bhai ye kiya ho gaya hai aap ko". Mere sir pe haat pehra. Kehne lage: "yaar mera aik beta hai. Woh zehni tor pe maazor hai. Meri aik beti hai. Woh ab jawan hone ko aayi hai. Meri biwi bimar rehti hai. Bus dur jaata hun ke mujhe kuch ho gaya to unka kiya hoga. Yaqeen karo! Aulad insaan ko bara kamzor ker deti hai. Bus apni jaga unki zindagi jiye jaao"

2 comments:

The Brown Girl said...

wow. thats so true. i dont really think people realize just how big of a responsibility it is to have a wife and children.

mystic-soul said...

Indeed it is !!