Sunday, January 21, 2007

Jinn aur tota

Tum ne us Jinn ki kahani to suni hogi jis ki jaan tote main thi. Tote ki taang tor do, jinn ki tang toot gai. Tote ki gardan maroro, jinn ji gardan toot gai - Jese kisi aurat ki jaan us ke zewar main, kisi artitst ki jaan us ke brush main aur kisi shayer ki jaan us ke qalam main atki hoti hai.

Kubhi aap ne socha ke aap ki jaan kis tote main atki hai?

5 comments:

Anonymous said...

aapke bachay nahin hain? hotay to main poochhtee :)

mystic-soul said...

Ye post likhte huwe aulad aur digar rishton ka khayal aaya tha mujhe. Sach poocho to rishte bhi tote hi hain !!. Ye tota postive bhi ho sakta hai aur negative bhi.... Aik waqt aata hai zindagi main jub aulad independent ho jaati hai to insaan ki jaan kisi aur game-duniya main atak jaati hai.

Masti-boy said...

Ab aap ne tota maina ki kahani shuru ker di !!

Anonymous said...

I once wrote a post on this one. How I hated the story because it meant the prince could break a poor bird's wing and neck. My Mama always used to say her life was locked in me and I hated it. Many years later, I know exactly what she meant. Mine is locked in 3 totas - the baby parrots and their Baba :)

Anonymous said...

Thanks suroor for comments.

There is a reason, we call kids "jaan"

Mystic