Sunday, December 28, 2008

Qabooliat ki ghari

Agar aap ko yaad ho to is blog pe main ne ‘parapsychology’, ‘meta-physics’, ‘spiritualism’, ‘new age’ wagera wagera se apni dilchaspi ka zikar kiya tha (here). Us ki asas (origin) zindagi ka aik aesa waqiya tha jo meri zindagi ki awwal awwal yadoN main se aik hai. Us waqt meri umar koi 6 baras hogi.

Amma hame magrib ke waqt masjid main darse-quran ke liya bheja kertiN. Sabaq se pehle hum masjid ki peechli sirhiyoN se masjid ki chat(roof) pe bhaga kerte. Un sirhiyoN ke neeche mayyat le jaane ke liye lakri ka aik khubsurat janaza parha rehta. Hum masjid ki peechli sirhiyoN pe charte huwe us janaze ko dekha kerte. Kabhi kabhi use dekh ke aik hulka sa dar bhi lagta. Aik roz kehlte huwe hamare saath ke aik bachhe ne kaha, ‘main marne ki acting kerta hun, tum log mera janaza banao’..hum sab ‘janaza janaza’ kehlne lage aur woh bachha lakri ke us khubsurat taboot main mayyat ban ke so gaya. Kuch der baad maulvi saab ne hum sab ko wahan se daant ke bhaga diya.

Dusre din woh larka mar gaya!


School se ghar aa ke woh bistar pe leta aur phir wapas nahi uttha!

Us waqiyeh ne mere andar maut ka aik ajeeb khauf bitha diya. Main taayi amma ke ghar therne jata to unke ghar raat ko ghup andhera rehta aur main para para sochta rehta ke, kiya qabar ke andar bhi itna andhera hota hoga…Is dar se nikalte nikalte mujhe bohat waqt lag gaya aur phir jesa ke main ne likha tha ke zindagi ka aik beshtar hissa main ne is dasht ki sayyahi main guzara! …

Hamari dadi kehti thin ke….. magrib ke waqt aik ghari qabooliyat ki aati hai. Us ghari dil ya zaban se nikli koi baat poori ho jaati hai.

Us bachhe ki maut aik ittafaq thi ya phir dadi amma ki baat sahi thi ke, qabooliyat ki ghari, us bachhe ke dil se nikli maut ki aarzoo poori ho gai

Allah behtar jaanta hai….

6 comments:

bsc said...

Mumkin hay Buzurgon ki baat drust ho magar qubooliyat ki koi bhi ghari ho sakti hay.
doosri baat yeh hay keh us bacchay nay maut ki dua nahin ki thee wo to khelna chahita tha magar sahi surat-e-hal Allah hi ko maloom hay.
Yeh takweeni mámalat hain jo misal kay taur per Allah nay hamain sura kahaf main samjha-ay hain hamin to sirf duniya ki shariyat peh rehna hay jaisa keh Musa AS sochtay thay aur Hazrat Khizer ka mámala "taweeniyaat" say tha.
Magar waqiy dil hila dainay wali kahani hay aur us bachpan main to aur bhi ziyada hogi khusoosan aap jaiay hissas admi kay liyay.

bsc said...

I now remember that my mother also said
dono waqt miltay hon us waqt ki bat poori hoti hay and my wife also said the same thing about dono waqt miltay that her mother said it.
It seems my interpretation of "Dua" was incorrect. Dua can be a "" baat" also but it is just
dono waqt miltay hon to aisee baat nahin kerna chaiyay.
Am I making sense?

Anonymous said...

Yes, its true..."sahi surat-e-hal Allah hi ko maloom hay"

Yes, that what I meant ke, dua or baat..

Please explain to me word "taaweeniyat". Is it same as "taweelat"?

bsc said...

Ghalti say us main k reh giya
Takweeniaat
feerozullughat: paida hona ya kerna, aalam-e-wujood main lana
Arabic dictionary: creatiog (similar) and related to the word "kaana"
Here my impression is that something Allah has created, from that "world" where things happen (Allah's will) without our understanding why they happen
Like those things that "happened" with Musa AS and Khizer AS knew the truth from Allah. Prophets are only meant for the "world" to correct what is wrong there.
Have I cleared it?

Anonymous said...

yes..

so its from "kun f'ya kun"

Anonymous said...

Baat niyyat ki hai werna
waqt saare dua ke hote hain

(Faiz)