Kuch log bala ke zaheen hote hain. Aesa hi aik shaks tha "Razi"
(name changed)
Razi ab Karachi ke aik Medical School main head of department hai. Ye mere MBBS ke first professional ka waqiya hai. Hamara first professional 2 saal ka huwa kerta tha. 2 saal ke ikhtatam pe aik lamba chora imtahan hota tha jis me Anatomy, Physiology, Biochemistry, Embroyology, Histology wagera wagera sare subject ka aik saath pehle theory aur phir viva huwa kerta. Agar aap ne 2 saal dil laga ker parhai nahi ki hai to aap ka fail hona yaqini tha (I failed). Abhi Imtihan main 4 mahine baqi the.
Razi ka kaam poora din union-bazi kerna, canteen main dhama-chokri kerna aur raat doston ke saath ghumna phirna tha. Jub imtihan ki date announce ho chuki to aik din Razi ghabraya huwa mujhe medical book store pe mila. Poochne laga kiya kiya parhna hoga. Main ne saari kitabon ke naam bata diye. Razi saari kitabain le ker chala gaya....
when results announced he was among top students....
Allah jane kuch logon ke paas aesa dimag kahan se aata hai
2 comments:
Recipe for such damagh:
Get a gharra. Put all the books in that gharra and water it daily. When all the knowledge dissolves in the water, take one teaspoonful of that solution morning and night. U will feel the difference after just a few doses.
Azmooda nuskha buzurgon ka. Priceless!
Siraf aap kaileay bhai saab muft. Aagai takseem kejeay aur sawab kamayeay. Siraf hamarai buzurgon ko dua main yaad rakheay ga.
P.S. Gharrai kai order kaileay hamari company sai rujoo karain. Shipment free. thok kai order per riyayat milai gi. Jaldi kijeay, Gharrai Limited Edition.
that was too funny...
Recipe is priceless and to buy all the books, there is Mastercard !
Post a Comment