Jaun Aelia sahab (here )se meri aqedadat is liye nahi - kiunke woh bare shayer the - kiunke baRe shayer to aur bhi bohat the. Magar Jaun sahab ne shayeri ko zindagi samjh ke nibahaya. Jo guzaara wahi likha. Kai bare shayer hain, jin se meri mohabbat bohat waliahana hai magar ye bhi sach hai ke - un shayeron ko jahan moqa mila unhoN ne dunyawi zindagi ke maze bhi khub loote..... Kiya Iqbal, kiya Josh, kiya Faiz, Kiya Faraz ... ye sab lafzoN ke jadugar the - magar inhon ne apni shayeri aur duniyadaari ke beech aik lakeer hamesah qaim rakhi - magar urdu shayeri main bohat thoRe naam hain jinhon ne zindagi ki pan-chakki main lamha lamha peeste shayeri ki - un main do baRe naam -Sagar Siddqui aur Jaun Elia hain (yaqeenan aur bhi honge). Jaun Sahab is liye mumtaz hain - kiun ke shayeri ke ilawa, taarikh aur waqiyaat per jo un ki "read" thi - woh "distinct" thi - Aur unki shayeri aesi ke - khud bhi rote hain, aur hume bhi bilak bilak ke rulate hain. Un ka aik shyr to mujhe peechle 2 hafte se aese "haunt" ker raha hai ke bayan se bahir hai.
یہ مجھے چین کیوں نہیں پڑتا
ایک ہی شخص تھا جہان میں کیا
Poori nazam neeche video per hai, magar kuch aur ashaar yun hain
عمر گزرے گی امتحان میں کیا
داغ ہی دیں گے مجھ کو دان میں کیا
داغ ہی دیں گے مجھ کو دان میں کیا
مری ہر بات بے اثر ہی رہی
نَقص ہے کچھ مرے بیان میں کیا
نَقص ہے کچھ مرے بیان میں کیا
مجھ کو تو کوئی ٹوکتا بھی نہیں
یہی ہوتا ہے خاندان میں کیا
یہی ہوتا ہے خاندان میں کیا
خود کو دنیا سے مختلف جانا
آگیا تھا مرے گمان میں کیا
ہے نسیمِ بہار گرد آلود
خاک اڑتی ہے اس مکان میں کیا
خاک اڑتی ہے اس مکان میں کیا
یوں جو تکتا ہے آسمان کو تُو
کوئی رہتا ہے آسمان میں کیا
کوئی رہتا ہے آسمان میں کیا
3 comments:
Vant hear but thanks for writing some verses
Agree with your comments
last one (written) so simple and so meaningful (not that others are not)
His honesty is truly admirable and this poem is a gem. One sher I found is a part of this nazm and I liked it a lot" Dil, ke aate hain jisko dhyaan bahot, khud bhie aata hai apne dhyaan me kya".
Post a Comment