Monday, March 14, 2016

"Aik hi Shaks tha Jahan main kiya" / On "Jaun Aelia"

Jaun Aelia sahab (here )se meri aqedadat is liye nahi - kiunke woh bare shayer the - kiunke baRe shayer to aur bhi bohat the. Magar Jaun sahab ne shayeri ko zindagi samjh ke nibahaya. Jo guzaara wahi likha. Kai bare shayer hain, jin se meri mohabbat bohat waliahana hai magar ye bhi sach hai ke - un shayeron ko jahan moqa mila unhoN ne dunyawi zindagi ke maze bhi khub loote..... Kiya Iqbal, kiya Josh, kiya Faiz, Kiya Faraz ... ye sab lafzoN ke jadugar the - magar inhon ne apni shayeri aur duniyadaari ke beech aik lakeer hamesah qaim rakhi - magar urdu shayeri main bohat thoRe naam hain jinhon ne zindagi ki pan-chakki main lamha lamha peeste shayeri ki - un main do baRe naam -Sagar Siddqui aur Jaun Elia hain (yaqeenan aur bhi honge). Jaun Sahab is liye mumtaz hain - kiun ke shayeri ke ilawa, taarikh aur waqiyaat per jo un ki "read" thi - woh "distinct" thi - Aur unki shayeri aesi ke - khud bhi rote hain, aur hume bhi bilak bilak ke rulate hain. Un ka aik shyr to mujhe peechle 2 hafte se aese "haunt" ker raha hai ke bayan se bahir hai


یہ مجھے چین کیوں نہیں پڑتا
ایک ہی شخص تھا جہان میں کیا

Poori nazam neeche video per hai, magar kuch aur  ashaar yun hain

عمر گزرے گی امتحان میں کیا
داغ ہی دیں گے مجھ کو دان میں کیا

مری ہر بات بے اثر ہی رہی
نَقص ہے کچھ مرے بیان میں کیا

مجھ کو تو کوئی ٹوکتا بھی نہیں
یہی ہوتا ہے خاندان میں کیا

خود کو دنیا سے مختلف جانا
آگیا تھا مرے گمان میں کیا

ہے نسیمِ بہار گرد آلود
خاک اڑتی ہے اس مکان میں کیا

یوں جو تکتا ہے آسمان کو تُو
کوئی رہتا ہے آسمان میں کیا

3 comments:

bsc said...

Vant hear but thanks for writing some verses
Agree with your comments
last one (written) so simple and so meaningful (not that others are not)

mehnaz said...

His honesty is truly admirable and this poem is a gem. One sher I found is a part of this nazm and I liked it a lot" Dil, ke aate hain jisko dhyaan bahot, khud bhie aata hai apne dhyaan me kya".

mehnaz said...
This comment has been removed by the author.