"Babaji! aap kehte hain ilm se darna chahiye. Ye to baRi ajeeb baat ki aap ne"
"Are is main koi ajeeb baat nahi. Ataai-ilm ki surat kuch aur hai. Jab Ilm ataa hota hai to bachhu free main nahi hota! - us ke foran baad - aik dum se aazmaish ki ghaRi aa jaati hai. Jese chori na kerne ka, geebat na kerne ka, bad-nazri na kerna ka ya khamosh rehne ka ilm - kisi ishaare se ataa hota hai to - darna chahiye - kiunke foran koi 'opportunity' aa jaati hai, jahan chori ka moqa milta hai, geebat ki mehfil sajti hai, bad-nazri ka maza milta hai ya bak-bak kerne ka package haat aa jaata hai. Pehle ilm aata hai, uske foran baad aazmaish ki ghaRi aati hai aur yahi tajarba us ilm ki tosee' (attestation) kerta hai. Aik ke baad aik ilm-o-aazmish ki ghaRi insaani ruh ko kundan banane ke liye sulagti rehti hai. Par jise is aag ki tapish hi mehsoos na ho, woh jiya bhi to kiya aur na jiya bhi to kiya."