"Nahi mera aesa bilkul bhi ji nahi chahta"
"kiun?"
"Maaazi ke kuch arse ka - aik aik lamha main ne jis barzakh (hell) main guzara hai - sirf mera khuda jaanta hai. Jub perdes main be-yaar-o-madadgar tumhe shohr 'iron rod' se itna marta ho ke tumhe 'rib factures' ho jaye aur 'renal hematoma' bun jaye aur itne 'bruises' hoN ke chehra pehchana na jaaye. Phir dusri shadi ho aur woh tumhare ma baap aur bhai ke saare paise jahez main le ker tumhe raat 11 baje ghar se nikal de. Kubhi tum 'Detroit' ki sardioN main sarak kinare aik suit case le ke khare ho. Tumhe poora mahina dost ki gaari main raat so ke guzarni pare - aur aahista aahista aik aik tinka jama ker ke jub thora sa qarar aaye magar baalon main chandni jhankne lage - to - nahi dil nahi chahta ke maazi laut ker wapas aaye"