(A tale from past - just a nostalgia)
Jab pehli dafa America ke liye rawana huwa to Amma ne woh thoons thoons ke suit case bhara ke use band kerne ke liye char aadmioN ki zaroorat par gai!
'Gulf Airline' ki flight jab ghumte ghumte finally London paunchi to saare PakistanioN ko alag ker diya gaya aur kaha gaya ke phir se 'immigration, check-in aur boarding' hoga --- marta kiya na kerta ---- Bhari bharkam bag ghasseete ghassette counter pe pauncha. Kaandhe pe woh saman alag tha jo chalte waqt logon ne apne piyaroN ke liya laad diya tha.
On other side of the counter was sitting a purely refined fully British accent white woman of mid-30s. And on this side of the counter I was - a Urdu medium, hungry, sleep deprived and confused Pakistani!
Usne pehle to kuch 'regular questions' pooche, passport ulta sidha ker ke dekha aur phir poocha: "Who packed your bag?". Main ne jawab diya: "My mother".....Uske chehre pe aik muskurahat aayi aur usne poocha: "Do you know what did she pack?". Main ne apni desi angrezi main jawab diya to uski muskurahat aur barh gai, aur boli: "So are you that sweet Pakistani Muslim virgin kind of boy?". Meri samjah main kuch nahi aaya. Main ne poocha, bag kholun? ... Meri baat sun ker usne zor ka qehqaha lagaya aur boli: "Why? Your mom packed some bangles for me?" .....Angrezi main itna 'sense of humor' nahi tha..... Main hunnaqoN ki tarah uska muN dekhta raha. Woh phir boli: "No its Ok, wish you good luck. I hope you stay sweet virgin boy."
Woh "'Sweet Pakistani Muslim virgin boy", jo NY main apni pehli raat chat (roof) ko ghoorte soch raha tha ke - woh ghar walon ke bagair - America ki is haibatnaak duniya main kese 'survive' karega - bilakhir kahiN gumnaam maut maara gaya!
Sochta hun kiya 'internet' aur 'globalization' ki is duniya main is waqt, is ghari bhi koi ' "Sweet Pakistani Muslim Virgin Boy" Heathrow Airport pe confuse, aane wali nai zindagi se khaufzada betha hoga! (do such boys still exist?) - aur baar baar apna bazoo tatolta hoga ke - chalte waqt Amma ne kaha tha ke - dar lage to imam zamin ko haat laga lena!
You may hear this post below:
You may hear this post below: