Sunday, September 08, 2013

A Gold Coin!

Aik aadmi ko uski Ma ne marte huwe aik sone ki ashrafi (a gold coin) di - aur kaha - jab tak ye tumhare paas rahe gi, samjho meri duaiN tumhare saath rahe gi......... Us aadmi se woh ashrafi kho gi.

Jab use aehsas huwa ke uski ashrafi kho gai hai - to woh rota dhota - aik sufi buzurg ke paas gaya aur apni bipta sunai. Woh buzurg use, darya kinare le gaye - aur kaha: " Jab tumhari Ma ne tumhe ye Ashrafi di, to tum jeb main daal ke bhool gaye. Phir nahane gaye to ye darya main gir gayi."

Buzurg ne darya main haat daala to aik machli aayi, uske mun main ashrafi thi. Sufi ne machli ke mun se ashrafi le ker us aadmi ko di. Woh bara khush huwa! .. Buzurg ne us shaks ke haat se ashrafi le ker phir darya main phenk di. Woh shaks bara hairan huwa!

Buzurg ne kaha: "Tumhe agar Ma ki duaoN ki qadar hoti to ye ashrafi sambhal ke rakhte. Tumhari liye ashrafi ke kho jaana hi ahsan hai - kiunke - zindagi main bohat si cheezain kho jaayaiN tab hi woh paas rehti haiN".

No comments: