Saturday, September 21, 2013

Ba ka Guldaan

Zindagi ka koi chota waqiya, kambakht-mara saari zindagi peecha nahi chorta! 
Is baat ko bhi aap mere bachpan ki 'insecurity' ka parto samjh lain! 

Mere paas hamesha aik 'pot' rehta hai - jis main har roz 'change' (khulle) jamaa hota hai!

Faheem Bhai ka qissa bohat pehle is blog pe likha tha (here). 
Ye un dinoN ki baat hai, jab hamare haalaat koi bohat achhe nahi the. 
Faheem bhai hamare parosi the aur un ke ghar bhi gurbat ka raaj tha. 

Faheem bhai ko jab Dubai main naukri mili to Faheem bhai ki ticket main 3000 rupe kam parte the. Faheem bhai ki amma ko sara mohalla piyar se "Ba" kehta tha. Ba chupke se kahin almari se aik purana guldaan utha laain. Guldan ko tora to andar se koi 3500 hazar rupe nikal aaye. Thore thore ker ke 'Ba' us guldaan main Allah jaane kab se paise jamaa ker rahi thiN. Faheem Bhai khushi se nachne lage aur aik sham Dubai chale gaye.

Ye aik chota sa waqiya tha magar haramzada dimag se chipak gaya. Hamara bura waqt guzar gaya. Allah ne zindagi ka raasta kushaada ker diya - magar - Ba ke us zambeeli guldaan ne peecha na chora. Aaj bhi khulle paisoN ko zaaya nahi kerta aur roz bacha ker ghar laata hun!




No comments: