Wednesday, September 04, 2013

Sir Zaheer!

Peechli aik post "Old Textbooks" main Sir Zaheer ka zikar aaya tha!

Sir Zaheer Class 7 se class 10 main mere Maths ke teacher rahe. Unhon ne Karachi University se Maths main Masters kiya - aur saari zindagi sarkari school ke bachoN ko Maths parhane main guzar di. Maths se unhe ishq tha. Pehli baar zindagi main kisi ne bataya ke Maths ki equations zindagi ko balance kerne ka khel hai. Pehli baar kisi ne sikhaya ke Maths ke Theorem zindagi ka aesa gorakh dhandha hai ke - yun hota to kiya hota  - aur - wesa hota to kiya hota. Pehli baar laga, Maths koi subject nahi - bulke pehlioN ki kitab hai. BatoN BatoN main bari bari equations yun samjha jaaate ke, baayaiN haat ka khel lagta.

Jab Metric ke baat main ne 'pre-medical' liya to bohat 'shock' huwe. Mujeh apne ghar bulwaya. 2 room ka chota sa makan tha jis main biwi aur 3 bachhoN ke saath guzara ker rahe the. Kehne lage tum 'Physics' parho. Main ne kaha: 'Sir! is mulk main Physics, Maths, Chemistry ka koi scope nahi'. Woh mera tanz samjh gaye. Kuch na bole!

Magar unki naseehat yaad reh gai! Main ne Medicine ko 'profession' ki bajaye 'part of life' samjh ke practice kiya! Aaj bhi hospital jaata hun to medicine 'Job' nahi lagti - khud Zindagi lagti hai. Unhi ki badolat - aaj bhi nayi baat seekh ke maza aata hai. Har din hospital main aik naya din lagta hai.....

Jab Aamir Khan ki '3 idiots' aayi to 2 log bohat yaad aaye, Aik 'Ejaz' (here) or aik Sir Zaheer!


Below clip always reminds me of him


1 comment:

EyeAre said...

Your post reminded me following clip. How teacher should be


http://www.youtube.com/watch?v=a_73-8j0kDI