Barson purani baat hai. Main jumme wale roz kisi dost se milne Nazimabad Karachi ki Gol Market gaya huwa tha. Shadeed garmi thi. Main garmi se bachne ke liye jumma namaz ke bahane masjid main chala gaya. Maulvi sahab ka khutba - bus aaeN baaeN shaaeN hi tha - magar aik baat khubsurat kahi unhoN ne
Azaazil farishta ke baare main kehte hain
- us ke paas itna ilm tha, jitna 36 karoR kitaboN main hota hai
- magar adam ko sajda na ker ke
- abad tak shaitaan mardoood ka laqab paa gaya.
Kehte hain - Azazil farishta bunyaadi toR per jin tha
- aag se paida huwa tha
- pehle zameen pe rehta tha
- magar apne rab ki be-intiha ibadat guzari ki wajah se farishtoN ko bhaa gaya
- aur unhoN ne use apna sardar maan liya
- aur zameen se aasmanoN pe utha liya gaya.
Tassawure insaan to maujud tha
- magar insaan ki abhi takhleeq nahi hui thi.
Bara bhayanak tassawwur tha inssan ka
- Azazil jab farishtoN ka sardar bana to un main sab se ziyada aalim tha
- kehte hain sirf us ko tassawure insaan ka ilm tha - jo khoon, qatal, jhoot, faraib jesi baatoN se pur tha
- bas isi liye azazil apne rab ke saamne seena taan ke khara ho gaya -
Apne ilm o ibaad guzaari pe nazzaN ho gaya
- Rab ki hikmat na samjh paaya
- aur aadam ko sajda kerne se inkaar ker diya
Mayoos ho gaya tha ke - mere itne ilm aur ibadat guzari ke saamne is insaan ko sajda ?
- Azazil se iblees ho gaya (came from Arabic word balas means despair)
FarishtoN ne Shaytaan kehna shuru ker diya (Shaytaan means disobedient Jin)
Agar muaafi maang ker, haat bandh ker
- phir apne rab ke huzur haazir ho jaata to aur ooncha darja paa jata.
.......
Insaan ka to lafz hi nisaaN se nikla hai matlab galati (ka putla)
Shayed rab ko sab se achhi yahi baat lagti hai
- ke galati karo aur phir khataawar ho ker, muaafi ke liye haat bandh ker phir rukuh, sajde ke liye din main 5 baar haazir ho jao.
-----------
Falsafe aur mantiq ke aetbaar se to bohat hi naa-maaqul si baat thi -magar sach poocho - to maulvi sahab ki baat dil ko lagti hai - shayed aesa hi hai - werna ye gorkh dhandha kiun sajaya jaata.