Zia shahab ka makan shayed hamare mohalle ka wahid 3 manzila makan tha. Makan kiya tha puri kothi thi. Kafi arse to woh makan band raha magar phir zia shahab wahan rehne aaye. Raat ko unke dalan aur bageeche main bare bare barqi qumqume roshan hote to poora mohalla jagmage uthta. Zia shahab ke 4 bachhe the. 3 bari betiyan uzma, rafat aur neeha aur sub se chota beta asghar. Uzma aur neeha zehni tor per kamzor thin (mentally challenged). Asghar ko main tution parhaya kerta tha. Zia shahab ko kitabon ka shoq tha, yun hamari aur zia shahab ki khub dosti ho gai. Kuch hi mahinon main main Zia shahab ke ghar ke fard ki tarah ho gaya, khas tor per Uzma aur asghar mere bohut qareeb aa gaye. Zia shahab aksar kehte, ab mee 4 nahi 5 bachhe hain. Aur Asghar aur Uzma ko to jese bara bhai mil gaya. Mujhe bhi un se bohut apnaiyat ka aehsas hota. Main jub bhi bazar ke liye nikalta, asghar ko saath le lete.
Zia shahab ki begum bimar rehti thin. Bimari kiya thi bus shadeed depression tha. Ghar main 2 zehni maazor bachion ka dukh hi hune bistar se lagane dene ke liye kafi tha.
Is waqiye se pehle hame sirf itna ilm huwa ke rafat ke 2 achhe rishte uzma aur neeha ki zehni maazuri ki wajah se thukra diya gaye aur is baat ne Zia shahab ki biwi ko aur karwa kasila bana diya. Ya to bachhion pe cheekhti chillati rehtin ya phir har waqt roti rehtin.
"Uz roz" Sham dhalne ko thi. Main Zia shahab ke makan main daakhil hi huwa tha ke darwaze pe asghar pe nazar pari. Woh khara kaanp raha tha aur zor zor se cheekhain mar raha tha. Main ne poocha kiya huwa to usne saamne ishara kiya. Uzma zameen pe behosh pari thi aur sir se khun beh raha tha aur mere saamne usi waqt uper se neeha aa ker giri !
Zia Shahab ki begum ne dono bachhion ko teesri manzil se dhakka de diya !! Main ne sirf neeha ka marna dekha magar 6 baras ke asghar ne shahyed dono behanon ki maut khud dekhi !
Awwal to mere ausan khata ho gaye. Meri umer bhi koi 24/25 baras hi rahi hogi. Kuch samjh na aaya. Chat ki taraf dekha to Zia shahab ki begum ki sirf jaati shakal nazar aai. Asghar ko sambhalun ke uzma neeha ko dekhun ya ghar ke andar ja ker Zia shahab ko khabar karun? Asghar ko main ne wahin chora. Uzma aur Neeha ki taraf bhaga. Dono pata nahi zinda bhi thin ya nahi.. Main ghar ke andar dora ke edhi walon ko phone karun, ambulance bulwaun.......
......aage ka haal sirf bayan hi hai.....
Uzma aur neeha hospital paunchne se pehle mar chuki thin. Police aur FIR ka bakhera bhi huwa. Zia shahab ne begum ko zehni mareezon ke hospital main daakhil kerwa diya. Main pehli baar 6 mahine america reh ker wapas pakistan pauncha to woh log kisi ko bataye bagair kahin aur chale gaye the . Woh imarat phir wiran ho gai.
Aaj itne barson baad bhi mujhe ye samjhna mushkil hai ke woh kiya zehni dabao aur blind spots hote hain ke log apni hi aulad ko jaan se maar dete hain.
Shayed aap ko Sameer ali uncle bhi yaad hon.