Amma hame magrib ke waqt masjid main darse-quran ke liya bheja kertiN. Sabaq se pehle hum masjid ki peechli sirhiyoN se masjid ki chat(roof) pe bhaga kerte. Un sirhiyoN ke neeche mayyat le jaane ke liye lakri ka aik khubsurat janaza parha rehta. Hum masjid ki peechli sirhiyoN pe charte huwe us janaze ko dekha kerte. Kabhi kabhi use dekh ke aik hulka sa dar bhi lagta. Aik roz kehlte huwe hamare saath ke aik bachhe ne kaha, ‘main marne ki acting kerta hun, tum log mera janaza banao’..hum sab ‘janaza janaza’ kehlne lage aur woh bachha lakri ke us khubsurat taboot main mayyat ban ke so gaya. Kuch der baad maulvi saab ne hum sab ko wahan se daant ke bhaga diya.
Dusre din woh larka mar gaya!
School se ghar aa ke woh bistar pe leta aur phir wapas nahi uttha!
Us waqiyeh ne mere andar maut ka aik ajeeb khauf bitha diya. Main taayi amma ke ghar therne jata to unke ghar raat ko ghup andhera rehta aur main para para sochta rehta ke, kiya qabar ke andar bhi itna andhera hota hoga…Is dar se nikalte nikalte mujhe bohat waqt lag gaya aur phir jesa ke main ne likha tha ke zindagi ka aik beshtar hissa main ne is dasht ki sayyahi main guzara! …
Hamari dadi kehti thin ke….. magrib ke waqt aik ghari qabooliyat ki aati hai. Us ghari dil ya zaban se nikli koi baat poori ho jaati hai.
Us bachhe ki maut aik ittafaq thi ya phir dadi amma ki baat sahi thi ke, qabooliyat ki ghari, us bachhe ke dil se nikli maut ki aarzoo poori ho gai
Allah behtar jaanta hai….